اردو हिंदी
Dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin | Shaahi Shayari
dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin

Ghazal

Dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin

Zubair Rizvi

;

dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin
aaina mange jo hum se wo pari-ru bhi nahin

dasht-e-tanhai mein aawaz ke ghungru bhi nahin
aur aisa bhi ki sannaTe ka jadu bhi nahin

zindagi jin ki rifaqat pe bahut nazan thi
un se bichhDi to koi aankh mein aansu bhi nahin

chahte hain rah-e-mai-KHana na qadmon ko mile
lekin is shoKHi-e-raftar pe qabu bhi nahin

talKHiyan nim ke patton ki mili hain har su
ye mera shahr kisi phul ki KHushbu bhi nahin

jaane kya soch ke hum ruk gae viranon mein
partaw-e-ruKH bhi nahin saya-e-gesu bhi nahin

husn-e-imroz ko tashbihon mein taulen kaise
ab wo pahle se KHam-e-kakul-o-abru bhi nahin

hum ne pai hai un ashaar pe bhi dad 'zubair'
jin mein us shoKH ki tarif ke pahlu bhi nahin