dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
dard pahlu se juda ho ke kahan jaega
kaun hota hai kisi ka shab-e-tanhai mein
gham-e-furqat hi gham-e-ishq ko bahalaega
chand ke pahlu mein dam sadh ke roti hai kiran
aaj taron ka fusun KHak nazar aaega
rag mein aag dabi hai gham-e-mahrumi ki
rakh hokar bhi ye shola hamein sulgaega
waqt KHamosh hai ruThe hue yaron ki tarah
kaun lau dete hue zaKHmon ko sahlaega
zindagi chal ki zara maut ke dam-KHam dekhen
warna ye jazba lahad tak hamein le jaega
Ghazal
Dil ke sunsan jaziron ki KHabar laega
Ahmad Rahi