dil ke afsane ko afsana samajhne wale
KHub samjhe mujhe diwana samajhne wale
dekh kar bhi na kabhi jaan sake husn ka raaz
ishq ko ilm se begana samajhne wale
aa tujhe zabt ke israf se aagah karun
aah ko dard ka paimana samajhne wale
shaiKH jagir samajhta hai KHudai ko bhi
hum KHuda ko bhi kisi ka na samajhne wale
qais se dasht mein kya KHub mulaqat rahi
log milte nahin rozana samajhne wale
ghar ko lauTe bhi to bikhre hue lauTe 'rahil'
KHud ko KHak-e-rah-e-jaanana samajhne wale

Ghazal
Dil ke afsane ko afsana samajhne wale
Raheel Farooq