dil ke aangan mein jo diwar uTha li jae
ek khiDki bhi mohabbat ki bana li jae
pak sirat hain bahut nur ka paikar hain wo
zehn mein husn ki taswir bana li jae
zer karne ke liye lakh tariqe DhunDo
kya zaruri hai ki dastar uchhaali jae
zehn chahat ki hi KHushbu se moattar hoga
zehn mein baat adawat ki na pali jae
aam rasta hai yahan bhiD milegi tum ko
matlabi rah pe ye zist na Dhaali jae
ek kam-zarf ke ehsan tale dab jaana
is se behtar hai ki kashkol uTha li jae
kijiye aap to mehman-nawazi 'sajid'
gar hai zahmat to ye zahmat bhi uTha li jae

Ghazal
Dil ke aangan mein jo diwar uTha li jae
Sajid Premi