dil ka moamla wahi mahshar wahi raha
ab ke baras bhi raat ka muntazir wahi raha
naumid ho gae to sabhi dost uTh gae
wo said-e-intiqam tha dar par wahi raha
sara hujum pa-piyaada chun-ki darmiyan
sirf ek hi sawar tha rahbar wahi raha
sab log sach hai ba-hunar the phir bhi kaamyab
ye kaisa ittifaq tha akasr wahi raha
ye irtiqa ka faiz tha ya mahz hadisa
meinDak to fil-pa hue azhdar wahi raha
sab ko huruf-e-iltija hum nazr kar chuke
dushman to mom ho gae patthar wahi raha

Ghazal
Dil ka moamla wahi mahshar wahi raha
Balraj Komal