dil ka moamla jo supurd-e-nazar hua
dushwar se ye marhala dushwar-tar hua
ubhra har ek KHayal ki tah se tera KHayal
dhoka teri sada ka har aawaz par hua
rahon mein ek sath ye kyun jal uThe charagh
shayad tera KHayal mera ham-safar hua
simTi to aur phail gai dil mein mauj-e-dard
phaila to aur daman-e-gham muKHtasar hua
lahra ke teri zulf bani ek hasin sham
khul kar tere labon ka tabassum sahar hua
pahli nazar ki baat thi pahli nazar ke sath
phir aisa ittifaq kahan umr bhar hua
dil mein jarahaton ke chaman lahlha uThe
'muztar' jab us ke shahr se apna guzar hua
Ghazal
Dil ka moamla jo supurd-e-nazar hua
Muztar Khairabadi