اردو हिंदी
Dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai | Shaahi Shayari
dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

Ghazal

Dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai

Sayed Zia Alvi

;

dil ka dilbar jab se dil ki dhaDkan hone wala hai
suna suna mera aangan gulshan hone wala hai

us ki aankhon mein bhi har dam aks mera hi rahta hai
ab to mera chehra us ka darpan hone wala hai

naz karun ya faKHr karun main sab kuchh hai lazim mujh ko
rafta rafta dil mein us ka maskan hone wala hai

pyar ke jazbe us ke dil mein jage hain aur jagenge
meri qismat ka bhi tara raushan hone wala hai

us se mil kar dil ka jangal bhig raha hai us ke aise
sawan se bhi pahle jaise sawan hone wala hai

dekh ke us ki sundarta ko sab sundar ho jate hain
us ki gali ka har ek chehra kundan hone wala hai

us ki mohabbat ke sadqe mein us ki mohak chahat mein
ab to 'ziya' ka bhag yaqinan raushan hone wala hai