dil jo sine mein zar sa hai kuchh
gham se be-iKHtiyar sa hai kuchh
raKHt-e-hasti badan pe Thik nahin
jama-e-mustaar sa hai kuchh
chashm-e-nargis kahan wo chashm kahan
nashsha kaisa KHumar sa hai kuchh
naKHl-e-ummid mein na phul na phal
shajar-e-be-bahaar sa hai kuchh
saqiya hijr mein ye abr nahin
aasman par ghubar sa hai kuchh
kal to aafat thi dil ki betabi
aaj bhi be-qarar sa hai kuchh
murda hai dil to gor hai sina
dagh sham-e-mazar sa hai kuchh
is ko duniya ki us ko KHuld ki hirs
rind hai kuchh na parsa hai kuchh
pahle is se tha hoshiyar 'amir'
ab to be-iKHtiyar sa hai kuchh
Ghazal
Dil jo sine mein zar sa hai kuchh
Ameer Minai