dil jo ghabraya to uTh kar doston mein aa gaya
main ki aaina tha lekin pattharon mein aa gaya
aaj us ke baal bhi gard-e-safar se aT gae
aaj wo ghar se nikal kar raston mein aa gaya
paDh raha hun us kitab-e-jism ki ek ek waraq
nur sab aankhon ka khinch kar ungliyon mein aa gaya
log kahte hain ki apna shahr hai lekin mujhe
yun guman hota hai jaise dushmanon mein aa gaya
hum bhare bazar mein us waqt suli par chaDhe
shahr sara TuT kar jab khiDkiyon mein aa gaya
shab-zadon ne raushni mangi to suraj dafatan
aasmanon se utar kar bastiyon mein aa gaya
jab sameTa main ne apne reza reza jism ko
aur bhi kuchh zor 'saghar' aandhiyon mein aa gaya

Ghazal
Dil jo ghabraya to uTh kar doston mein aa gaya
Riyaz Saghar