dil-jalon se dil-lagi achchhi nahin
rone walon se hansi achchhi nahin
munh banata hai bura kyun waqt-e-waz
aaj waiz tu ne pi achchhi nahin
zulf-e-yar itna na rakh dil se lagao
dosti nadan ki achchhi nahin
but-kade se mai-kada achchha mera
be-KHudi achchhi KHudi achchhi nahin
muflison ki zindagi ka zikr kya
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
is qadar khenchti hai kyun ai zulf-e-yar
le ke dil itni kaji achchhi nahin
aaen meri bazm-e-matam mein wo kya
hath mein meinhdi rachi achchhi nahin
shaiKH ko de do mai-e-be-rang-o-bu
us ki qismat se khinchi achchhi nahin
ek hasin ho dil ke bahlane ko roz
roz ki ye dil-lagi achchhi nahin
zarra zarra aaftab-e-hashr hai
hashr achchha wo gali achchhi nahin
ahl-e-mahshar se na uljho tum 'riyaz'
hashr mein diwangi achchhi nahin
Ghazal
Dil-jalon se dil-lagi achchhi nahin
Riyaz Khairabadi