dil jal raha tha gham se magar naghma-gar raha
jab tak raha main sath mere ye hunar raha
subh-e-safar ki raat thi tare the aur hawa
saya sa ek der talak baam par raha
meri sada hawa mein bahut dur tak gai
par main bula raha tha jise be-KHabar raha
guzri hai kya maze se KHayalon mein zindagi
duri ka ye tilism baDa kargar raha
KHauf aasman ke sath tha sar par jhuka hua
koi hai bhi ya nahin hai yahi dil mein Dar raha
us aaKHiri nazar mein ajab dard tha 'munir'
jaane ka us ke ranj mujhe umr bhar raha
Ghazal
Dil jal raha tha gham se magar naghma-gar raha
Muneer Niyazi