dil hai ki justuju ke sarabon mein qaid hai
warna har ek chehra naqabon mein qaid hai
fursat kahan ki DhunDe gham-e-dahr ka ilaj
har shaKHs apne gham ke hisabon mein qaid hai
kya KHak hon nasib yahan sar bulandiyan
josh-e-amal to aaj kitabon mein qaid hai
tasKHir-e-kaenat ki mohlat kise yahan
har zehn apne jumla hisabon mein qaid hai
sune paDe hain dil ke dar-o-baam in dinon
jalwon ka ehtimam hijabon mein qaid hai
le de ke bach rahi hai jo tahzib ki zaban
'masum' wo bhi aali-janabon mein qaid hai

Ghazal
Dil hai ki justuju ke sarabon mein qaid hai
Masoom Sharqi