dil hai baDi KHushi se ise paemal kar
lekin tere nisar zara dekh-bhaal kar
itna to dil-fareb na tha dam-e-zindagi
le aae e'tibar ke sanche mein Dhaal kar
saqi mere KHulus ki shiddat ko dekhna
phir aa gaya hun gardish-e-dauran ko Tal kar
ai dost teri zulf-e-pareshan ki KHair ho
meri tabahiyon ka na itna KHayal kar
aaya hun yun bacha ke hawadis se zist ko
late hain jaise koh se chashma nikal kar
thoDe se fasle mein bhi hael hain laghzishen
saqi sambhaal kar mere saqi sambhaal kar
hum se 'adam' chhupao to KHud bhi na pi sako
rakkha hai tum ne kuchh to surahi mein Dal kar
Ghazal
Dil hai baDi KHushi se ise paemal kar
Abdul Hamid Adam