dil gaya raunaq-e-hayat gai
gham gaya sari kaenat gai
dil dhaDakte hi phir gai wo nazar
lab tak aai na thi ki baat gai
din ka kya zikr tira-baKHton mein
ek raat aai ek raat gai
teri baaton se aaj to waiz
wo jo thi KHwahish-e-najat gai
un ke bahlae bhi na bahla dil
raegan sai-e-iltifat gai
marg-e-ashiq to kuchh nahin lekin
ek masiha-nafas ki baat gai
ab junun aap hai gareban-gir
ab wo rasm-e-takallufat gai
hum ne bhi waz-e-gham badal Dali
jab se wo tarz-e-iltifat gai
tark-e-ulfat bahut baja naseh
lekin us tak agar ye baat gai
han maze luT le jawani ke
phir na aaegi ye jo raat gai
han ye sarshaariyan jawani ki
aankh jhapki hi thi ki raat gai
jalwa-e-zat ai maaz-allah
tab-e-aina-e-sifat gai
nahin milta mizaj-e-dil hum se
ghaaliban dur tak ye baat gai
qaid-e-hasti se kab najat 'jigar'
maut aai agar hayat gai
Ghazal
Dil gaya raunaq-e-hayat gai
Jigar Moradabadi