dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai
jaan hazir hai meri aap se achchha kya hai
ahmad aur ahmad-e-be-mim ka parda kya hai
aql-e-awwal ko bhi hairat hai muamma kya hai
aap ke gham ne tan-e-zar mein chhoDa kya hai
malak-ul-maut ka ye mujh se taqaza kya hai
aish-e-imroz pe KHush hain gham-e-farda kya hai
maut aa jae to mar jaenge jhagDa kya hai
hum to madhosh paDe rahte the mai-KHane mein
kya KHabar katib-e-amal ne likkha kya hai
aaj tak shahr-e-KHamoshan ka na kuchh haal khula
log kya dekhne jate hain tamasha kya hai
arsa-e-hashr mein hai aaj qayamat ki giraft
ab batae to koi nazish-e-taqwa kya hai
sar to hum bhi na jhukaenge subuk-sar ho kar
charKH dushman hai to dushman sahi hota kya hai
tum se haT kar kahin paDti hi nahin meri nazar
tum tamanna ho meri aur tamanna kya hai
du-badu kyun na kahun tum se jo kahna hai mujhe
dil mein ghuT ghuT ke jo rah jae wo shikwa kya hai
gul ke daman pe kahin KHun ka dhabba na lage
tarz-e-fariyaad ye ai bulbul-e-shaida kya hai
mushkilen sainkaDon har gam pe pesh aati hain
DhunDne walon ne tujh ko abhi paya kya hai
kya bataun dil-e-ranjur ki haalat tum ko
wo to har rose ka bimar hai achchha kya hai
kalima paDhta hua qabr mein utra hun main
mere mazhab ko nakirain ne samjha kya hai
ek na ek fikr lagi rahti hai har dam mujh ko
fikr-e-duniya mein paDa hun gham-e-uqba kya hai
baada-noshon ke dua karte hi baadal umDe
aql hairan hai zahid ki ye hota kya hai
shab-e-mearaj ki kya shan hai allah allah
aaj dekhe to koi arsh-e-mualla kya hai
ab ke bhi rauza-e-aqdas pe rasai na hui
aur phir shumi-e-taqdir ka rona kya hai
ai falak hum tujhe zalim nahin kahte lekin
ghaur se sun ki sada-e-lab-e-duniya kya hai
gham-e-ulfat ki tawazoa ki jigar hai maujud
aur maqdur mera is se ziyaada kya hai
murde ji uThte hain jab nam tera sunte hain
hum se puchhe koi ejaz-e-masiha kya hai
maslahat ye hai ki izhaar-e-mohabbat na karun
maut hai mere liye arz-e-tamanna kya hai
dil-e-raushan ko samajh kaba-nashin ki manzil
dair kahte hain kise aur kalisa kya hai
kabhi botal ko uThata hai kabhi saghar ko
nahin malum ki 'rasiKH' ka irada kya hai

Ghazal
Dil-e-shaida ki haqiqat mere maula kya hai
Mohammad Yusuf Rasikh