dil-e-shahid hua hai shahid-e-husn-e-sifat
pilaya zauq-e-nazar ne bhi jam-e-ab-e-hayat
adam wajud tayyun sifat jalwa-e-zat
ghalat hai wahm dui nafi hai ye fil-asbaat
nigah-e-lutf se dekho hamein bhi husn-ara
kahan hai rang-e-tajahul ye daKHil-e-hasnat
farogh-e-jazb-e-anal-haq mein rag-e-hu haq hai
hue jo ahl-e-nazar un ka saf hai mirraat
hamara shewa-e-taslim hai raza-ba-qaza
ada-e-rag-e-tawakkul hai qazi-ul-hajat
kamal-e-ishq hai 'saqi' farogh-e-husn-e-amal
ye rang-e-shewa-e-ahsan hai daKHil-e-hasnat
Ghazal
Dil-e-shahid hua hai shahid-e-husn-e-sifat
Pandit Jawahar Nath Saqi