dil-e-nalan teri aahon mein asar hai ki nahin
be-qarari jo idhar hai wo udhar hai ki nahin
shoala-e-ishq jigar tak to bhaDak uTTha hai
kuchh KHabar bhi tujhe ai dida-e-tar hai ki nahin
hum bataen tumhein is shoKH ke parda ka sabab
dekhna ye hai tumhein tab-e-nazar hai ki nahin
qais ye chaak-gareban to hai wahshat ki dalil
chaak-dil hai ki nahin chaak-jigar hai ki nahin
us ki surat se hun sanna-e-azal ka qail
jalwa-e-qudrat-e-haq husn-e-bashar hai ki nahin
kaba-e-dil pe mere rose chaDhai kaisi
ai buto kuchh tumhein allah ka Dar hai ki nahin
lan-tarani ko zara ghaur se samjho musa
jalwa-e-hashr tumhein madd-e-nazar hai ki nahin
dair mein DhunDhta hun kaba-nashin ko zahid
wahi jalwa jo udhar hai wo idhar hai ki nahin
qatl-e-ashiq to teri aankh ka jada Thahra
lab-e-isa ka tere lab mein asar hai ki nahin
mere phulon se bhi daman ko bachaya tum ne
is taghaful ki bhi kuchh tum ko KHabar hai ki nahin
shama ki nazr idhar jaan patangon ki hui
waqf-e-gul-gir idhar shama ka sar hai ki nahin
shab ko barse the mere dida-e-tar tham tham kar
subh ko dekhiye to ghair ka ghar hai ki nahin
hath KHali na dikhao pae qatl-e-dushman
tegh bhul aae to kya tegh-e-nazar hai ki nahin
dam to lene do nakirain thaka-manda hun
ruKH pe dekho to mere gard-e-safar hai ki nahin
nala-e-dil to mera shor-e-qayamat hai magar
nazuki teri mujhe madd-e-nazar hai ki nahin
ghuncha-e-dil se shab-e-gham ye sada aati thi
main hun pazhmurda kahin baad-e-sahar hai ki nahin
aatishin aah ka hai sang-dilon par bhi asar
toD kar dekh lo patthar mein sharar hai ki nahin
tur ki aag to bujhte hi bujhegi yarab
talib-e-did ko apni bhi KHabar hai ki nahin
sab se aage hai gunahgaron ki saf mahshar mein
qabil-e-naz mera daman-e-tar hai ki nahin
hum ne 'rasiKH' tujhe mahfil mein bahut yaad kiya
us ne puchha tha koi tufta-jigar hai ki nahin

Ghazal
Dil-e-nalan teri aahon mein asar hai ki nahin
Mohammad Yusuf Rasikh