اردو हिंदी
Dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt | Shaahi Shayari
dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt

Ghazal

Dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt

Jafar Shirazi

;

dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt
aa raha hai meri baaton mein zamana is waqt

karb-e-tanhai ki tawil to mushkil hai bahut
kaise chup-chap hua aap ka aana is waqt

rasm-e-tajdid-e-marasim bhi zaruri hai magar
yaad aaya hai mujhe waqt purana is waqt

ye ghaDi koi faramosh nahin kar sakta
meri aankhon mein hai ek KHwab suhana is waqt

aa raha hai koi phir dam-e-nazar mein 'jafar'
aise manzar se nigahen na haTana is waqt