اردو हिंदी
Dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain | Shaahi Shayari
dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain

Ghazal

Dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain

Iqbal Husain Rizvi Iqbal

;

dil-e-muztar ko hum kuchh is tarah samjhae jate hain
ki wo bas aa rahe hain aa hi pahunche aae jate hain

nigah-e-shauq ke parwarda nazzaron ki mahfil mein
ye dil bahle na bahle han magar bahlae jate hain

ba-zahir to bahut nazuk hain dil ahl-e-mohabbat ke
yahi shishe kabhi patthar se bhi Takrae jate hain

hansa karte the sun kar dastan-e-qais bachpan mein
jawan ho kar isi qissa ko hum dohrae jate hain

wo duzdida nigahen hon ki KHanjar-azma abru
mohabbat ki har ek manzil pe rahzan pae jate hain

bhari mahfil mein sab se hain muKHatab be-hijabana
magar bas ek hum hain jin se wo sharmae jate hain

KHayal-e-ujrat-e-mauhum par 'iqbaal' duniya mein
ye hum se zindagi ke bojh kyun uThwae jate hain