اردو हिंदी
Dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai | Shaahi Shayari
dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai

Ghazal

Dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai

Josh Malsiani

;

dil-e-fasurda pe sau bar tazgi aai
magar wo yaad ki ja kar na phir kabhi aai

chaman mein kaun hai pursan-e-haal shabnam ka
gharib roe to ghunchon ko bhi hansi aai

nawed-e-aish se bhi lutf-e-aish mil na saka
libas-e-gham hi mein aai agar KHushi aai

kisi tarah bhi zamane ko bas mein kar na sake
na dosti na hamein ras dushmani aai

ajab na tha ki gham-e-dil shikast kha jata
hazar shukr tere lutf mein kami aai

zamana hansta hai mujh par hazar bar hanse
tumhaari aankh mein lekin ye kyun nami aai

diye jalae umidon ne dil ke gird bahut
kisi taraf se na us ghar mein raushni aai

hazar did pe pabandiyan thin parde the
nigah-e-shauq magar un ko dekh hi aai