dil-e-barbaad mein phir us ki tamanna kyun hai
har taraf sham hai lekin ye ujala kyun hai
jis ki yaadon ke diye hum ne bujha rakkhe hain
phir wahi shaKHs tasawwur mein utarta kyun hai
jaanta hun wo musafir hai safar karta hai
qarya-e-jaan mein magar aaj wo Thahra kyun hai
thak chuka hai tu andheron mein rahe meri tarah
chand ko kis ki talab hai ye nikalta kyun hai
main wahi KHwab hun palkon pe sajaya tha jise
aaj ghairon ki tarah tum ne pukara kyun hai
roz ek baat mere dil ko satati hai 'ziya'
is qadar TuT ke tum ne use chaha kyun hai
Ghazal
Dil-e-barbaad mein phir uski tamanna kyun hai
Sayed Zia Alvi