dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai
jise pana zaruri hai use khona zaruri hai
mukammal kis tarah hoga tamasha barq-o-baran ka
tera hansna zaruri hai mera rona zaruri hai
bahut si surKH aankhen shahr mein achchhi nahin lagtin
tere jage huon ka der tak sona zaruri hai
kisi ki yaad se is umr mein dil ki mulaqaten
ThiThurti sham mein ek dhup ka kona zaruri hai
ye KHud-sar waqt le jae kahani ko kahan jaane
musannif ka kisi kirdar mein hona zaruri hai
janab-e-dil bahut nazan na hon dagh-e-mohabbat par
ye duniya hai yahan ye dagh bhi dhona zaruri hai
Ghazal
Dil-e-abaad ka barbaad bhi hona zaruri hai
Shoaib Bin Aziz