dil dil hi rahega gul-e-tar ho nahin sakta
KHun ho ke bhi manzur-e-nazar ho nahin sakta
jo zulm kiya tu ne kiya be-jigri se
aisa to kisi ka bhi jigar ho nahin sakta
thak thak ke teri rah mein yun baiTh gaya hun
goya ki bas ab mujh se safar ho nahin sakta
izhaar-e-mohabbat mere aansu hi karenge
izhaar ba-andaz-e-digar ho nahin sakta
har bund lahu ki kabhi banti nahin aansu
jaise ki har ek qatra guhar ho nahin sakta
ye ahd-e-jawani bhi hai kuchh aisa zamana
be-baada-e-sarjosh basar ho nahin sakta
le jaega ye dil mujhe us bazm mein aaKHir
jis mein ki saba ka bhi guzar ho nahin sakta
jab tak teri rahmat ka hai 'kashfi' ko sahaara
sach ye hai gunahon se hazar ho nahin sakta
Ghazal
Dil dil hi rahega gul-e-tar ho nahin sakta
Kashfi Multani