dil dasht hai wafur-e-tamanna ghubar hai
ai abr-e-nau-umid tera intizar hai
phir ustuwar rabta-e-sang-o-sar hua
phir in dinon junun ko hawa sazgar hai
jaan-dadgi ki rasm jagao ki aaj-kal
phir multafit hawa-e-sar-e-rah-guzar hai
har nikhat-e-KHayal asir-e-hawa hui
har mauj-e-nur kam-nigahi ki shikar hai
raushan-zamir tira-nasibi KHuda ki shan
itni si ab hikayat lail-o-nahaar hai
han ai hawa-e-dasht idhar shahr mein bhi aa
mahbus kab se nikhat-e-gesu-e-yar hai
kahiye to kis tarah jo na kahiye to kis tarah
arz-e-suKHan mein lafz bhi be-e'tibar hai
lab-basta dil-e-kushada chaman mein guzariye
ye ghunchagi ki rasm gulon ka shiar hai
'baqar' ghazal mein ramz-o-kinaya baja magar
ye ehtiyat harf-e-tamanna pe bar hai
Ghazal
Dil dasht hai wafur-e-tamanna ghubar hai
Sajjad Baqar Rizvi