dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa
samne us bad-guman ke muskurana hi paDa
wo jo ruThe main ne bhi kha li na milne ki qasam
phir na dil mana to KHud ja kar manana hi paDa
uf ri majburi mizaj-e-yar mein ho kar daKHil
raazdan KHud apne dushman ko banana hi paDa
mujh ko fasl-e-gul mein tewar dekh kar sayyaad ke
aashiyana chhoD kar gulshan se jaana hi paDa
zabt ka yara nahin sayyaad ka bhi hai KHayal
nala-e-dil-soz ko naghma banana hi paDa
rokte kab tak taqaza-e-talafi-e-sitam
sar jhukae sharm se mayyat pe aana hi paDa
aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe
shikwa-e-jaur-o-jafa phir bhul jaana hi paDa
Ghazal
Dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa
Anjum Manpuri