dil bahut masruf tha kal aaj be-karon mein hai
sat pardon mein jo rahta tha wo bazaron mein hai
KHak ke putle falak ki sarhadon ko chhu chuke
aur jise insan kahte hain abhi ghaaron mein hai
laj rakh lete hain meri munh pe kuchh kahte nahin
dushmani ka kuchh saliqa to mere pyaron mein hai
sab ko dekha aur kisi ko dekh kar TuTa nahin
aaina shayad abhi apne parastaron mein hai
dhup kaisi thi ki mere hath kale kar gai
tirgi ka rang shayad nur ke dhaaron mein hai
sab sadaen lafz hain lafzon ke pichhe kuchh nahin
dekhna ye hai ki koi sar bhi dastaron mein hai
bar-sar-e-paikar donon hain natija kuchh nahin
josh hai dariyaon mein aur sabr diwaron mein hai
KHair o shar ki mishalon ko tu bujhata kyun nahin
main to kya hun ek farishta bhi gunahgaron mein hai
dekhte kya ho ki KHud manzar tumhein takne laga
bechte kya ho ki yusuf bhi KHaridaron mein hai
koi bhi manzil nahin apni kashish donon taraf
panw miTTi mein gaDe hain aankh sayyaron mein hai
ab haqiqat jaan kar 'shahzad' kya lena mujhe
wajh-e-ghaza hi sahi shoala to ruKHsaron mein hai

Ghazal
Dil bahut masruf tha kal aaj be-karon mein hai
Shahzad Ahmad