dil ajnabi des mein laga hai
aandhi se diye ka rabta hai
TuTe hue log hain salamat
ye naql-e-makani ka moajaza hai
koi bhi nahin yahan pe aazad
dhoka ye faqat nigah ka hai
main jis mein nahin hun aur wahin hun
wo ghar meri rah dekhta hai
baDh jaengi aur uljhanen kuchh
lauT aane se faeda bhi kya hai
jab DhunD liya use to jaana
mera hi wajud kho chuka hai
'ashfaq' har ek lamha-e-zist
jine ka KHiraj mangta hai
Ghazal
Dil ajnabi des mein laga hai
Ashfaq Husain