dil ajab mushkil mein hai ab asl raste ki taraf
yaad pichhe khinchti hai aas aage ki taraf
chhoD kar nikle the jis ko dasht-e-ghurbat ki taraf
dekhna sham-o-sahar ab ghar ke sae ki taraf
hai abhi aaghaz din ka is dayar-e-qaid mein
hai abhi se dhyan sara shab ke pahre ki taraf
subh ki raushan kiran ghar ke dariche par paDi
ek ruKH chamka hawa mein us ke shishe ki taraf
duriyon se pur-kashish hain manzilen donon 'munir'
main rawan hun KHwab mein napaid qarye ki taraf
Ghazal
Dil ajab mushkil mein hai ab asl raste ki taraf
Muneer Niyazi