dil agar kuchh mang lene ki ijazat mangta
ye mohabbat-zad tajdid-e-mohabbat mangta
waqt KHud na-paedari ke liye mashhur hai
aise be-taufiq se main KHak shohrat mangta
main ne sahra se tahayyur-KHez hairat mang li
KHak ho jata agar tahzib-e-wahshat mangta
dil ko KHush aai nahin ye daulat-e-asudgi
aur kuchh mil jati to ye kuchh aur zahmat mangta
hain KHudawandan-e-duniya hum tahi-daston se hech
dil ko hasrat thi to hum jaison se KHilat mangta
ho gaya hota giran-goshon se gar maghlub main
kyun suKHan aaghaz karta kyun samaat mangta
kya tajjub tha ki is sauda-gari ke daur mein
KHwab bhi tabir ho jaane ki qimat mangta
Ghazal
Dil agar kuchh mang lene ki ijazat mangta
Pirzada Qasim