dil agar daghdar ho jata
ek sarapa bahaar ho jata
daman-e-sabr hijr ke hathon
kyun na yun tar-tar ho jata
wae majburiyan mohabbat ki
zabt par iKHtiyar ho jata
main ne yun shikwa-e-jafa na kiya
wo agar sharmsar ho jata
pas hota agar wo jaan-e-bahaar
be-niyaz-e-bahaar ho jata
ek nigah-e-karam jo ho jati
phir to beDa hi par ho jata
un ki tirchhi nazar ka kya kahna
jis pe paDti shikar ho jata
un nigahon ki mastiyan tauba
mai-kada sharmsar ho jata
pyar karte hain wo jinhen 'shankar'
kash un mein shumar ho jata

Ghazal
Dil agar daghdar ho jata
Shankar Lal Shankar