dil abhi tak jawan hai pyare
kis musibat mein jaan hai pyare
tu mere haal ka KHayal na kar
is mein bhi ek shan hai pyare
talKH kar di hai zindagi jis ne
kitni miThi zaban hai pyare
waqt kam hai na chheD hijr ki baat
ye baDi dastan hai pyare
jaane kya kah diya tha roz-e-azal
aaj tak imtihan hai pyare
hum hain bande magar tere bande
ye hamari bhi shan hai pyare
nam hai is ka naseh-e-mushfiq
ye mera mehrban hai pyare
kab kiya main ne ishq ka dawa
tera apna guman hai pyare
main tujhe bewafa nahin kahta
dushmanon ka bayan hai pyare
sari duniya ko hai ghalat-fahmi
mujh pe to mehrban hai pyare
tere kuche mein hai sukun warna
har zamin aasman hai pyare
KHair fariyaad be-asar hi sahi
zindagi ka nishan hai pyare
sharm hai ehtiraaz hai kya hai
parda sa darmiyan hai pyare
arz-e-matlab samajh ke ho na KHafa
ye to ek dastan hai pyare
jang chhiD jae hum agar kah den
ye hamari zaban hai pyare
Ghazal
Dil abhi tak jawan hai pyare
Hafeez Jalandhari