dil aankhon se aashiq bachae hue hain
hiran ko wo chita banae hue hain
nahin likhte hain KHat jo hum ko wo qasid
kisi ke sikhae paDhaye hue hain
na KHanjar uThega na talwar un se
wo bazu mere aazmae hue hain
agar un ko puja to kya kufr hoga
ki but bhi KHuda ke banae hue hain
koi bandho na bandhe ab kuchh na hoga
ki hum rang apna jamae hue hain
hazaj mein bhi ashaar ai 'nadir' ab paDh
ki bazm-e-suKHan mein sab aae hue hain
Ghazal
Dil aankhon se aashiq bachae hue hain
Nadir Lakhnavi