اردو हिंदी
Dikhate hain jo ye sanam dekhte hain | Shaahi Shayari
dikhate hain jo ye sanam dekhte hain

Ghazal

Dikhate hain jo ye sanam dekhte hain

Wajid Ali Shah Akhtar

;

dikhate hain jo ye sanam dekhte hain
KHuda ki KHudai ko hum dekhte hain

ye haiwan hai dast-e-talea pe bhaari
nae jaanwar ka qadam dekhte hain

zan-o-KHwesh-o-farzand-o-daulat se chhuTe
na dekhe koi jo ki hum dekhte hain

shahanshah hum hain dilon par hain hakim
gada tum ko ai zi-hasham dekhte hain

faqat hath kale nahin balki munim
dilon par bhi dagh-e-waram dekhte hain

kahan tak utarti hai sine pe mere
teri tegh-e-abru ka dam dekhte hain

bhagati hai mar-e-siyah go ki hum ko
teri zulf-e-mushkin ka sam dekhte hain

zamin par bhi deta nahin chain hum ko
falak tujh se jaur-o-sitam dekhte hain

dur-e-ashk se mera bharti hai daman
saKHi tujh ko ai chashm-e-nam dekhte hain

na ranj aur na shadi tawassut hai hum ko
ki aish-o-alam bhi baham dekhte hain

kisi mah ne us ko dhoka diya hai
hum 'aKHtar' ko kyun pur-alam dekhte hain