diwaron par gili rekhaen roti hain
tinon par ghunghru ki bunden nach rahi hain
pairon mein makDi ne jala tan rakha hai
par phaila kar chiDiyan kandhe par baiThi hain
Dol rahe hain aankhon mein patthar ke sae
shiryanon mein bahti nadiyan sukh chuki hain
dar par virani ka parda jhul raha hai
khunTi se tanhai ki belen laTki hain
mujh se mat bolo main aaj bhara baiTha hun
cigarette ke donon paikeT bilkul KHali hain
dushman kyun zahmat farmaen meri KHatir
KHud ko muKHlis kahne wale hi kafi hain
bachpan mein aakash ko chhuta sa lagta tha
is pipal ki shaKHen ab kitni nichi hain
zaKHmon ki chhalni mein un ko chhan raha hun
kirnen apne sath andhere bhi lai hain
chaliye sahab aur koi darwaza dekhen
aaj 'muzaffar' ki baaten bahki bahki hain
Ghazal
Diwaron par gili rekhaen roti hain
Muzaffar Hanfi