diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha
wo dhund mein lipTe hue manzar ki tarah tha
dekha to shagufta sa laga phul ki surat
utra to meri ruh mein KHanjar ki tarah tha
main aaj tahi-dast hun ek KHas sabab se
warna main zamane mein sikandar ki tarah tha
kuchh waqt ne tartib bigaDi mere ghar ki
kuchh ghar bhi mera mere muqaddar ki tarah tha
wo jagte lamhon mein bhi patthar ki tarah thi
main nind ke aalam mein bhi aazar ki tarah tha
Ghazal
Diwar ki surat tha kabhi dar ki tarah tha
Shamim Ravish