diwangi-e-shauq ka saman saja ke la
nadan guhar koi sar-e-mizhgan saja ke la
fankar tu agar hai to fan ka dikha kamal
taswir-e-yar ta-had-e-imkan saja ke la
gulshan pe hai KHizan ka tasallut to gham nahin
dil mein fareb-e-husn-e-bahaaran saja ke la
de mahtab ban ke andheron ko raushni
murda dilon ke waste darman saja ke la
hum aaj teri qaid se aazad ho gae
ai zindagi ab aur hi zindan saja ke la
phir zaKHm mundamil hue jate hain ai nadim
tu mera mehrban hai namak-dan saja ke la
aalam ka jo 'shafiq' hai rahmat hai sar-basar
us ka KHayal nazd-e-rag-e-jaan saja ke la
Ghazal
Diwangi-e-shauq ka saman saja ke la
Shafiq Dehlvi