diwana kar ke mujh ko tamasha kiya bahut
teri talash ne mujhe ruswa kiya bahut
kya kahiye us ke ru-ba-ru aansu nikal paDe
hum ne to zabt-e-gham ka irada kiya bahut
lekin hamara dida-e-bina bhi kam na tha
haalanki us ne bazm mein parda kiya bahut
bosa jabin ko pa-e-sanam ka na mil saka
laghzish ne be-KHudi ka bahana kiya bahut
suraj ne dhul kirnon ki aankhon mein jhonk di
mat puchh raushni ne andhera kiya bahut
us ki had-e-kamal tayyun na kar sake
ahl-e-KHirad ne us ka ahata kya bahut

Ghazal
Diwana kar ke mujhko tamasha kiya bahut
Ram Awtar Gupta Muztar