didani hai bahaar ka manzar
zahr chhiDka gaya daraKHton par
bun rahe hain urus-e-gul ka kafan
magas-e-barg o ankabut-e-shajar
chil kawwon ko takte rahiye
chand taron se thak gai hai nazar
jo mera takiya-e-jawani tha
usi bargad ki jhuk gai hai kamar
hath phaila ke chiKHte hain daraKHt
sarsar-e-hadisa ka ruKH hai kidhar
surKH phulon ke lal angare
chashm-e-zard-e-uqab ke aKHgar
wo jabin-e-shafaq pe KHatt-e-shua
KHun se kis ke surKH hai KHanjar
ab ke barsat kuchh to ras aai
ghas ugne lagi munDeron par
dhup is sahn mein na dar aae
band kar do tamam rauzan-e-dar
raqs karte hue bagulon mein
dew o jinnat o ruh ke lashkar
dekhta hun ki kya dikhate hain
apne sae pe jam gai hai nazar
aalam-e-be-KHudi mein gahra sans
sina-e-kaenat mein hai safar
aap apne se kyun gurezan hun
kisi aaseb ka hai mujh pe asar
kaun mere liye hai shab-bedar
kyun baraste hain raat bhar patthar
main hi main hun KHala-e-tira mein
na atarid na mushtari na qamar
tah-ba-tah zulmaten hain jumbish mein
rengte hain siyah-posh azhdar
jabalushshams ki bulandi se
dekhta hun zamin ko jhuk jhuk kar
ek pur-nur nilgun nuqta
kanpta hai KHala mein rah rah kar
kahkashan se shumal ki jaanib
waqt ke be-nishan mehwar par
nur ke daere hain gardish mein
aaKHir in qafilon ka ruKH hai kidhar
kaun aaKHir jhinjhoDta hai mujhe
aalam-e-KHwab mein sar-e-bistar
kaun aaKHir mujhe jagata hai
aaKHir shab mein rose aa aa kar
na shahaba na koi tayyara
kaun uD kar gaya idhar se udhar
Ghazal
Didani hai bahaar ka manzar
Rais Amrohvi