didar mein ik-tarfa didar nazar aaya
har bar chhupa koi har bar nazar aaya
chhaalon ko bayaban bhi gulzar nazar aaya
jab chheD par aamada har KHar nazar aaya
subh-e-shab-e-hijran ki wo chaak-garebani
ek aalam-e-nairangi har tar nazar aaya
ho sabr ki betabi ummid ki mayusi
nairang-e-mohabbat bhi be-kar nazar aaya
jab chashm-e-siyah teri thi chhai hui dil par
is mulk ka har KHitta tatar nazar aaya
tu ne bhi to dekhi thi wo jati hui duniya
kya aaKHri lamhon mein bimar nazar aaya
ghash kha ke gire musa allah-ri mayusi
halka sa wo parda bhi diwar nazar aaya
zarra ho ki qatra ho KHum-KHana-e-hasti mein
maKHmur nazar aaya sarshaar nazar aaya
kya kuchh na hua gham se kya kuchh na kiya gham ne
aur yun to hua jo kuchh be-kar nazar aaya
ai ishq qasam tujh ko mamura-e-alam ki
koi gham-e-furqat mein gham-KHwar nazar aaya
shab kaT gai furqat ki dekha na 'firaq' aaKHir
tul-e-gham-e-hijran bhi be-kar nazar aaya
Ghazal
Didar mein ik-tarfa didar nazar aaya
Firaq Gorakhpuri