di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae
raqs karte hue atraf mein jangal ho jae
ai mere dasht-mizajo ye meri aankhen hain
in se rumal bhi chhu jae to baadal ho jae
chalta rahne do miyan silsila dildari ka
aashiqi din nahin hai ki mukammal ho jae
haalat-e-hijr mein jo raqs nahin kar sakta
us ke haq mein yahi behtar hai ki pagal ho jae
mera dil bhi kisi aaseb-zada ghar ki tarah
KHud-ba-KHud khulne lage KHud hi muqaffal ho jae
Dubti naw mein sab chiKH rahe hain 'tabish'
aur mujhe fikr ghazal meri mukammal ho jae
Ghazal
Di hai wahshat to ye wahshat hi musalsal ho jae
Abbas Tabish