dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan
mujhe musalsal dekh rahe ho tum bhi nan
de jate ho mujh ko kitne rang nae
jaise pahli bar mile ho tum bhi nan
har manzar mein ab hum donon hote hain
mujh mein aise aan base ho tum bhi nan
ishq ne yun donon ko aamez kiya
ab to tum bhi kah dete ho tum bhi nan
KHud hi kaho ab kaise sanwar sakti hun main
aaine mein tum hote ho tum bhi nan
ban ke hansi honTon par bhi rahte ho
ashkon mein bhi tum bahte ho tum bhi nan
meri band aankhen tum paDh lete ho
mujh ko itna jaan chuke ho tum bhi nan
mang rahe ho ruKHsat aur KHud hi
hath mein hath liye baiThe ho tum bhi nan
Ghazal
Dhyan mein aa kar baiTh gae ho tum bhi nan
Ambareen Haseeb ambar