dhup thi saya uTha kar rakh diya
ye saja taron ka mahzar rakh diya
kal talak sahra basa tha aankh mein
ab magar kis ne samundar rakh diya
surKH-ru hoti hai kaisi zindagi
doston ne la ke patthar rakh diya
mundamil zaKHmon ke Tanke khul gae
be-sabab tum ne rula kar rakh diya
sabit-o-salim tha daman kal talak
tum ne aaKHir kyun jala kar rakh diya
miT gai tishna-labi aaKHir meri
jab gale par us ne KHanjar rakh diya
ro paDin aankhen bahut 'sahil' meri
jab kisi ne hath sar par rakh diya
Ghazal
Dhup thi saya uTha kar rakh diya
Sahil Ahmad