dhup thi aur baadal chhaya tha
der ke baad tujhe dekha tha
main is jaanib tu us jaanib
bich mein patthar ka dariya tha
ek peD ke hath the KHali
ek Tahni par diya jala tha
dekh ke do jalte sayon ko
main to achanak sahm gaya tha
ek ke donon panw the ghaeb
ek ka pura hath kaTa tha
ek ke ulTe pair the lekin
wo tezi se bhag raha tha
un se ulajh kar bhi kya leta
tin the wo aur main tanha tha
Ghazal
Dhup thi aur baadal chhaya tha
Nasir Kazmi