dhup saron par aur daman mein saya hai 
sun to sahi jo peDon ne farmaya hai 
kaise kah dun bich apne diwar hai jab 
chhoDne koi darwaze tak aaya hai 
us se aage jaoge tab jaanenge 
manzil tak to rasta tum ko laya hai 
baadal ban kar chahe kitna uncha ho 
pani aaKHir miTTi ka sarmaya hai 
aaKHir ye nakaam mohabbat kaam aai 
tujh ko kho kar main ne KHud ko paya hai 
'shaz' mohabbat ko apnana khel nahin 
apne hath se apna hath chhuDaya hai
        Ghazal
Dhup saron par aur daman mein saya hai
Zakariya Shaz

