dhup pe kaisi gard paDi hai
din hai chhoTa raat baDi hai
us ke hit ka tarz-e-nigarish
kaghaz par moti ki laDi hai
naqsh ubharte hain har lamha
yaadon ki bhi umr baDi hai
mustaqbil se saiqal hogi
sadiyon par jo gard paDi hai
lamhon ki pariyan jhum rahi hain
hathon mein jadu ki chhaDi hai

Ghazal
Dhup pe kaisi gard paDi hai
Mutrib Nizami