dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai
rang-e-ashob fazaon mein lahu zinda hai
KHwab dar KHwab bas ek chiKHte sahra ka sukut
aur aankhon mein wahi did ki KHu zinda hai
shaKH-e-mizhgan pe mahakne lage zaKHmon ke gulab
pichhle mausam ki mulaqat ki bu zinda hai
mere saqi tere jaan-baKHsh labon ka hai ye faiz
dast-e-mai-kash mein abhi tak jo subu zinda hai
shal hua jata hai kyun hath mere qatil ka
zad pe KHanjar ke abhi KHushk gulu zinda hai
kapkapi fart-e-nadamat se hai maujon mein abhi
tishna-lab kaun sar-e-sahil-e-ju zinda hai
kitni jaan-soz hai is shahr-e-munafiq ki hawa
is pe 'shahid' mujhe hairat hai ki tu zinda hai

Ghazal
Dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai
Shahid Kamal