dhup ke dasht mein be-saya shajar mein hum the
munhamik phir bhi sarabon ke safar mein hum the
muntashir kar chuki aandhi to ye malum hua
ek bagule ki tarah ret ke ghar mein hum the
teri aawaz ke jadu ne KHabar-dar kiya
na-samajh the ki balaon ke asar mein hum the
ta na shaki rahe dariya-e-hawas ki koi mauj
baadban jism ke khole ki bhanwar mein hum the
ye tere qurb ka eajaz hai warna pahle
taq itne kahan jine ke hunar mein hum the
Ghazal
Dhup ke dasht mein be-saya shajar mein hum the
Shahryar