dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua
ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua
hanste phul ka chehra dekhun aur bhar aae aankh
apne sath ye qissa kya hai ab malum hua
hum barson ke baad bhi us ko ab tak bhul na pae
dil se us ka rishta kya hai ab malum hua
sahra sahra pyase bhaTke sari umr jale
baadal ka ek TukDa kya hai ab malum hua
Ghazal
Dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua
Zafar Gorakhpuri