DhunDhta hai koi rasta mere aaine mein
qaid jo shaKHs hai mujh sa mere aaine mein
khinch le tujh ko na aaine ke andar ka tilism
ghaur se dekh na itna mere aaine mein
us ke jaisa hun main aaine ke bahar koi
rah raha hai wo jo mujh sa mere aaine mein
main hi aaina-e-duniya mein chala aaya hun
ya chali aai hai duniya mere aaine mein
aks kuchh aur nazar aata hai mera sab ko
kis ne ab tak mujhe dekha mere aaine mein
ru-ba-ru hota hai ek shaKHs bhi mujh sa 'athar'
main akela nahin hota mere aaine mein
Ghazal
DhunDhta hai koi rasta mere aaine mein
Mirza Athar Zia