dhoke ne mujh ko ishq mein kya kya sikha diya
girna sikha diya hai sambhalna sikha diya
roti thin zar-zar ye wade ne aap ke
aankhon ko intizar bhi karna sikha diya
suraj ki tez dhup baDa kaam kar gai
KHwabon ke daere se nikalna sikha diya
apnon ki Thokaron ne giraya tha barha
ghairon ne sidhi rah pe chalna sikha diya
'santosh' ka kiya main karun shukr kis tarah
mujh ko bhi dosti ka saliqa sikha diya
Ghazal
Dhoke ne mujhko ishq mein kya kya sikha diya
Santosh khirvadkar